Usne jab jab bhi mujh ko dil se pukara 'Mohsin ~ Heart Touching Urdu Poetry

Tuesday, 23 June 2015

Usne jab jab bhi mujh ko dil se pukara 'Mohsin

Mein ne tab tab ye bataya  ke tumhara "Mohsin

Log sadiyo ki khataon se bhi khush baste hein

Hum ko lamhon ki Wafaon  ne ujara "Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqeen ab wo nahi aye ga

Gham aur anso ne diya dil ko sahara "Mohsin

Wo tha jab pass to jeene ko bhi dil krta tha

Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara "Mohsin

Us ko pana to maqader ki lakeeron mein nahi

Us ko khona bhi krein kaise gowara 'Mohsin.

0 comments :

Post a Comment